is mehfil mein ho tum lekin dikhtey nahin...
ek ehsaas ho tum jissey mera dil bharta nahin...
ab is mehfil ko sajaya hai baarish ney
aur savara ek mehakti hawa nein...
sochti hoon
shayad tumhey patta hoga ki
kya haal hai merey mann ka tum bin ...
is bheegey bheegey mausam mein...
garaj raha hai aasmaan
ek sinh samaan...
aur baarish ki dhar ho rahi hai tez har ek pal key baad...
karti hoon is zindagi ko dhayawaad ...
muskuraatey huay
deti hoon salaam us ooper walley ko
ki banaya hai usney mujhey kuch alag sey.. .
aur tumhey bilkul merey jaisey... merey dilbar
ab ho gayi hai raat
aur khatam hui weh barsaat...
hawa mehak rahi hai champa ki khushoo sey
aur samundar ney cheda hai ek naya saaz...
yeh sab kar rahey hain mujhey betaab
yeh sab bula rahey hain mujhey baahar!
shaayad yehi hai maqsad is mausam ka...
ki bula rahi hai mujhey yeh raat...
aasmaanoan mein badal bhikhir rahey hain...
aur ek ek karkey sitarey muskura rahey hain..
.jagmaga rahey hain
merey mann ko yeh yaad dila rahey hain mujhko tumhaari yeh ki aisey hi tumhari ankhein khil jaati hain aur merey mann ko ujwalit kar deti hain...

No comments:
Post a Comment